Whatsapp ke jaalsajon se saabdhan

Aajkal to whatsapp par juthe message ki baadh aa gayi hai chhahe wo notebandi ko lekar ho ya muft recharge ya unlimited deta ya voice calls ko lekar. In messages ki sankhiya lagataar badhti ja rahi hai.
Hum iss trah ke juthe messages se bach sakte hain. Aayea jaante hain ki isse kaise bach sakte hai.
Inse bachne ke liye niche likhe points ko follow karen.


* Whatsapp par aane wale messages jo muft recharge ya unlimited deta dene ka
 wada karte hai wo juthe hote hain. iss par bishwas nahi karna chahiye. Jaise aajkal
 muft 4g deta wale message aa rahe hai jo juthe hain.


* Asli message satik hoga aur usme spelling error nahi hogi. Agar kisi message me
 spelling error hai to uske jaali hone ki puri sambhabna hai isliye iss tarah ke message
 se saandhan rahe.


* Aamtaur par toh kisi v forwarded message ke saath koi v link attach nahi hota, par yadi
 hai toh usse check kar len.Jaise ki haal hi me BSNL ke ek message ko khub idhar se udhar
 kiya gaya tha, jisme link tha - http://bsnl.co/sim jabki bsnl kawebsite hai - http://www.bsnl.in toh saaf
 hai ki ye message spam hai aur isse forward na kiya jaye.

* Kisi v telecom company ke naam se aaye hue lubhavne message ko ek baar uss company
ke website par check kar len ki wo offer sahi hai ya nahi.

* Yadi koi message dawa kare ki whatsapp muft me recharge kara raha hai ya unlimited seva de
raha hai ya message 10 group me forward karna hai toh usse najarandaaz kar den. kisi v trah ke
 laalach me na aaye.


Iss tarah rozana whatsapp par aane wale
jaali message se hum bach sakte hain.
agar ye post accha lage toh dosto ke saath
v share karen.

0 Comments